Tekst piosenki:
Khwabo ki duniya mukammal kahaan hai
Jeene ki khwahish mein marna yahaan hai
Hmm....
Manzil yehi hai, yahi kaarvan hai
Jeene ki khwahish mein marna yahaan hai
Sar par uthaya hai kyun aasmaan ko
Agar badh hai jaati teri dhadkanein...
Sehmi hai dhadkan
Sihari hai dhadkan
Thehari hai dhadkan
Toh kya ho gaya
Sehmi hai dhadkan
Sihari hai dhadkan
Thehari hai dhadkan
Toh kya ho gaya
Purani kitaabon ke panne sabhi
Gawahi dene yahaan aa jaayenge
Khyalon mein yaadone ke aa kar ujaale
Sabhi daag dil ke mita jaayenge
Kisko fikar hai tumari yahaan par
Agar badh hai jaati teri dhadkanein..
Sehmi hai dhadkan
Sihari hai dhadkan
Thehari hai dhadkan
To kya ho gaya (x2)
Wo....
Khuda iss jahaan se toh varson khafa hai
Ganimat hai tumse toh insaan hai rutha
Dariya ke tarah zamaane ke aansu
Palkon se teri toh katra hai chhuta
Sar par uthaya hai kyun aasmaan ko
Agar badh hai jaati teri dhadkanein...
Sehmi hai dhadkan
Sihari hai dhadkan
Thehari hai dhadkan
To kya ho gaya (x2)
Hmm...
Dodaj adnotację do tego tekstu »
Historia edycji tekstu
Komentarze (0):